Saturday, 30 April 2011

Urdu Ashaar


Bari mudat sey chaha hey tumhain
Bari duaoon sey paya hai tumhain…
Tumhain bhulaaney ka socho b kasey
Kismat ki lakiron se churaya hai tumhain…!!
`
Lafzon Ke Fasaane Dhondhte Hain Hum Log
Lamhon Mai Zamaane Dhondhte Hain Hum Log
Tu Zehr Hi De Sharaab Keh Kar Saaqi
Jeene Ke Bahaane Dhondhte Hain Hum Log…
`
Raabton, Rishton Mai Uljhan Thi Bohot
Is Nizam-E-Shehr Mai Rehne Ki Himmat Hi Na Ki
Lafz Yeh Logon Mai Raij Tha “Bohot”
Is Liye Is Shehr Mai Hum Ne Mohabbat Hi Na Ki…
`
Har Taraf Aap Ki Yaad Par Laga Ke Pehra
Jee Kara Kar Ke Betha Tha Ke Mat Yad Aye
Nagahan dil kisi baat par aesa dukha,
Mai Bohot Roya, Mujhe Aap Bohot Yad Aye…
`
Duniya To Hai Kaanton Ka Bichona Pyaare
Tum Hum Se Kabhi Hona Na Judaa Pyaare
Aao Mil Kar Dukh Ke Lamhe Kaaten
Ik Jashn Hai Sath Sath Rona Pyaare…
`
Rota Hun To Ahbaab Bura Maante Hain
Hansta Hun To Mujrim Mujhe Gardante Hain
Har Haal Mai Aetiraaz Karne Waale
Nadaan Mere Halaat Kahan Jaante Hain…
`
Lipta Hai Mere Dil Se Kisi Raaz Ki Surat
Wo Shakhs Ke Jis Ko Mera Hona Bhi Nahi Hai
Yeh Ishq-O-Mohabbat Ki Riwayat Bhi Ajab Hai
Paana Bhi Nahi Hai, Usse Khona Bhi Nahi Hai..
`
Dekhte Hain Aaj Hum Us Raah Ki Weeraaniyan
Yaaron Ke Sang Kaati Jahan Hum Ne Zindaganiyan
Guzar Gaya Wo Daur, Bichar Gaye Sab Dost
Sath Reh Gaen To Un Lamhon Ki Kahaniyaan..
`
Kisi Ki Dhun, Kisi Ke Gumaan Mai Rehte Hain
Hum Ek Khuwab Ki Surat Jahan Mai Rehte Hain
Ghamon Ki Dhoop Se Darte Nahi Hain Wo Amjad
Kisi Nigaah Ke Jo Saiybaan Mai Rehte Hain..
`
Jab Rooh Kisi Bojh Se Thak Jaati Hai
Ahsaas Ki Lo Aur Bhi Barh Jaati Hai
Mai Barhta Hun Zindagi Ki Janib Lekin
Zanjeer Si Paon Mai Chanak Jaati Hai..


 (@MANI BHAI @)  


0 comments:

Post a Comment