Dosti toh sirf ek ittefaaq hai,
Yeh toh dilon ki mulaakaat hai,
Dosti nahi dekhti yeh din hai ki raat hai,
Isme toh sirf wafaadaari aur jasbaat hai !
`
Karni mujhe khuda se kuch fariyad baki hai.
Hame unse kehni kuch baat baki hai.
Maut aayegi to keh denge zara ruk,
Abhi mere dost se ek mulakat baki hai.
`
Kal fir yehi sama hoga,
Hum mein se kaun na jane kahan hoga,
Murjhaye phool to mil jayenge kitabo mein,
Par bichhade dosto ka shayad hi koi pata hoga….
`
Dost hazar nahi sirf ek chahiye,
dukh-sukh me de sath vo yar chahiye,
hum kisi ko bhulate nahi lekin
jo yad rakkhe hame vo yar chahiye……
`
Sitaron ke aage bhi koi jahan hoga,
Jo na dekha kabhi woh sama hoga….
Us jahan ke saare hasin nazaron ki kasam,
Aap sa pyara dost dusra kaha hoga….
(@MANI BHAI @)
0 comments:
Post a Comment