Saturday 23 April 2011

PANCHI SALGIRA

[ JudaaYi Ki Paanchvii'n SaaLGiraH ]

Jii main he
Aaj ki shab us kay liye jaag kay kati jaaye
w0h jo aankh0n say paray
Ajnabi dais ki gum'naam hawaoon main baithi he ..


kiYa mohab'bat kay liye yeh bhi zaroori he
keh main ~~
us kay chehray ko
khad-o-khaal main la kar daikh0n ??
sach to yeh he
keh mujhay yaad nahi,

kay uski jabeen kaisi thi ??
hoont kaisay thay !!

badan kaisa tha !!
aankhain kaisi thii'n !!
Bas ~~ yeh yaad he
keh w0h



jaisi nazar aati thi
us say kahii'n achi thi ..
( yeh maah-o-saal ka toofaa'n bohat zalim he.
w0h agar pass bhi hoti to kisay khabar he kaisi hoti !! )
y0n to har raat
Mere dil par giraan guzarti he
phir bhi aey bhoolay h0we !!
Tu hi bata
Gham ki zanjeer bhala
jagtay,, s0chtay rehnay say kahan kat'ti he !!
Yeh jo aahat si abhi
nikhat-e-gul ki tarah phaili he
Tere qadmoon ki sadaa lagti he ..
Jab kabhi koi jahaaz
Yaad ki shamma liye
Gham ki be'chain hawa0n say guzarta he
Toh dil
shaam-e-furqat ke tasavvur say laraz uthta he..
Shaam-e-furqat !!
Jo haqeeqat he
Magar ~~ khwaab numa lagti he ..
Chaand jab abar ke tukroon par safar karta he
Toh y0n lagta he !!
Mai bhi ik abar ka tukra h0n
Jisay ~~
tera visaal ,,
tera ik lamha-e-visaal
daaimi hijr ke
undooh-e-musalsal kay aevaz baar nahi ..
Aey mujhay abar kay tukrray ki tarha choor kay janay walay !!
Tere bakhshay howay lamhay kay aevaz
kiYa mujhay daina paDa
is say sarokaar nahi !!
" Paanchvieen SaLGirah JudaaYi ki " ~~
Aaj manaoon shab bhar ..
Shaam-e-furqat ki tarah ~~
ashk baha0n shab bhar ..
Phir !!
Airport ki raiLing par
tika kay kohni
Tere rukhsat ka samaa'n
Dihaan main laoon shab bhar ..
Tu jo roti h0wi aankh0n say paray
Ajnabi dais ki gum'naam hawa0n main kaheen baithi he . . . /


0 comments:

Post a Comment